sadā-e-muzhda-e-lā-taqnatū  ke  dhāre  par
charāġh  jalte  rahe  aas  ke  mīnāre  par
ajiib  ism  thā  lab  par  ki  paañv  uThte  hī
maiñ  ḳhud  ko  dekhtā  thā  arsh  ke  kināre  par
ajiib  umr  thī  sadiyoñ  se  rahan  rakkhī  huī
ajiib  saañs  thī  chaltī  thī  bas  ishāre  par
vo  ek  aañkh  kisī  ḳhvāb  kī  tamannā  meñ
vo  ek  ḳhvāb  ki  rakkhā  huā  sharāre  par
isī  zamīn  kī  jānib  palaT  ke  aanā  thā
utar  bhī  jaate  agar  ham  kisī  sitāre  par
matā-e-harf  kahīñ  be-asar  nahīñ  'shahbāz'
ye  kā.enāt  bhī  hai  kun  ke  isti.āre  par