so  gayā  oḌh  ke  phir  shab  kī  qabā.eñ  sūraj
jin  ke  dāman  pe  chhiḌaktā  thā  ziyā.eñ  sūraj
aaj  tak  raakh  sameTī  nahīñ  jaatī  apnī
ham  ne  chāhā  thā  hathelī  pe  sajā.eñ  sūraj
aañkh  bujh  jaa.e  to  ik  jaise  haiñ  saare  manzar
apnī  bīnā.ī  ke  dam  se  haiñ  ghaTā.eñ  sūraj
merī  palkoñ  pe  larazte  hue  aañsū  motī
mere  bujhte  hue  hoñToñ  pe  duā.eñ  sūraj
zindagī  jin  kī  ho  sahrā  kī  masāfat  'shahbāz'
aise  logoñ  ko  kabhī  raas  na  aa.eñ  sūraj