safar  kā  ek  nayā  silsila  banānā  hai
ab  āsmān  talak  rāsta  banānā  hai
talāshte  haiñ  abhī  ham-safar  bhī  kho.e  hue
ki  manziloñ  se  udhar  rāsta  banānā  hai
sameTnā  hai  abhī  harf  harf  husn  tirā
ġhazal  ko  apnī  tirā  ā.īna  banānā  hai
mujhe  ye  zid  hai  kabhī  chāñd  ko  asiir  karūñ
so  ab  ke  jhiil  meñ  ik  dā.era  banānā  hai
sukūt-e-shām-e-alam  tū  hī  kuchh  batā  ki  tujhe
kahāñ  pe  ḳhvāb  kahāñ  rat-jagā  banānā  hai
usī  ko  aañkh  meñ  tasvīr  karte  rahte  haiñ
ab  us  se  haT  ke  hameñ  aur  kyā  banānā  hai
dar-e-havas  pe  kahāñ  tak  jhukā.eñ  sar  'shahbāz'
zarūratoñ  ko  kahāñ  tak  ḳhudā  banānā  hai