zindagī  shab  ke  jazīroñ  se  udhar  DhūñDte  haiñ
aañkh  meñ  ashk  jo  chamkeñ  to  sahar  DhūñDte  haiñ
ḳhaak  kī  tah  se  udhar  koī  kahāñ  miltā  hai
ham  ko  mālūm  hai  ye  baat  magar  DhūñDte  haiñ
kār-e-duniyā  se  ulajhtī  haiñ  jo  sāñseñ  apnī
zaḳhm  ginte  haiñ  kabhī  misra-e-tar  DhūñDte  haiñ
be-hunar  honā  bhī  hai  maut  kī  sūrat  ai  dost
zinda  rahne  ke  liye  koī  hunar  DhūñDte  haiñ
dastakeñ  kab  se  hathelī  meñ  chhupī  haiñ  'shahbāz'
shahr-e-asrār  kī  dīvār  meñ  dar  DhūñDte  haiñ