Kishwar Naheed

tujhse bahut qarib bhi tanha bhi the hamin

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
tujh se bahut qarīb bhī tanhā bhī the hamīñ
the ābrū-e-ishq pa rusvā bhī the hamīñ
āñkhoñ meñ ḳhuun thā ki zamīñ thī lahū lahū
zanjīr-e-ġham pahan ke tamāshā bhī the hamīñ
har har qadam pe ik na.ī dīvār thī khaḌī
us raat ke safar meñ ujālā bhī the hamīñ
ma.alūm thā ye ishq nahīñ maat kā hai khel
paspā hue the ham hī havāla bhī the hamīñ
ma.alūm thā ki vahshateñ apnī bisāt haiñ
ma.alūm thā ki shaam kā taara bhī the hamīñ
āñkhoñ meñ ḳhvāb chubhte raheñge tamām umr
ye dard-e-lā-davā thā masīhā bhī the hamīñ
ab yaad bhī na aao ki va.ada bhī thā yahī
dasht-e-balā meñ va.ada-e-fardā bhī the hamīñ
ai sub.h-e-nau-bahār kabhī tū idhar bhī aa
ahbāb jānte haiñ ki tujh sā bhī the hamīñ
Top Urdushayar.com