kisī  ne  dekh  liyā  thā  jo  saath  chalte  hue
pahuñch  ga.ī  hai  kahāñ  jaane  baat  chalte  hue
safar  safar  hai  kabhī  rā.egāñ  nahīñ  hotā
sar-e-sahar  chalī  aa.ī  hai  raat  chalte  hue
sunā  hai  tum  bhī  isī  dasht-e-ġham  se  guzre  ho
so  ham  ne  kī  hai  baḌī  ehtiyāt  chalte  hue
ham  apnī  ukhḌī  huī  sāñsoñ  ko  bahāl  kareñ
kahīñ  rakhe  to  sahī  kā.enāt  chalte  hue
havā  rukī  to  ajab  husn  thā  magar  'shahbāz'
girā  ga.ī  hai  ka.ī  sūkhe  paat  chalte  hue