vo  ek  ḳhvāb  ki  āñkhoñ  meñ  jagmagā  rahā  hai
charāġh  ban  ke  mujhe  raushnī  dikhā  rahā  hai
vo  sirf  haq  jo  mire  lab  se  āshkār  huā
sukūt-e-dair  meñ  ik  umr  gūñjtā  rahā  hai
mire  suḳhan  meñ  jo  ik  lau  sī  thartharātī  hai
charāġh-e-shab  se  mirā  bhī  mukālima  rahā  hai
mire  liye  ye  ḳhad-o-ḳhāl  kī  haqīqat  kyā
vo  ḳhaak  huuñ  ki  jise  chaak  phir  bulā  rahā  hai
maiñ  sochtā  huuñ  koī  dasht  kyā  sameTegā
vo  vahshateñ  haiñ  mujhe  ḳhud  bhī  ḳhauf  aa  rahā  hai
suḳhan  ke  ā.īna-ḳhāne  ko  ḳhair  ho  'shahbāz'
zamāna  sañg-ba-kaf  hai  idhar  ko  aa  rahā  hai