Shahbaz Khwaja

ye kar-e-be-samran mujhse hone wala nahin

Shahbaz Khwaja

ye kār-e-be-samrāñ mujh se hone vaalā nahīñ
maiñ zindagī ko bahut der Dhone vaalā nahīñ
maiñ sat.h-e-āb pe ik tairtā huā lāsha
mujhe koī bhī samundar Dubone vaalā nahīñ
baḌe jatan se milā hai ye apnā aap mujhe
maiñ ab kisī ke liye ḳhud ko khone vaalā nahīñ
fasīl-e-shahr tirā āḳhirī muhāfiz huuñ
ye shahr jaage na jaage maiñ sone vaalā nahīñ
vo ek tū ki tire ġham meñ ik jahāñ ro.e
vo ek maiñ ki mirā koī rone vaalā nahīñ
kisī ko phuul na de pā.ūñ maiñ agar 'shahbāz'
kisī kī ruuh meñ kāñTe chubhone vaalā nahīñ
Top Urdushayar.com