ye  kār-e-be-samrāñ  mujh  se  hone  vaalā  nahīñ
maiñ  zindagī  ko  bahut  der  Dhone  vaalā  nahīñ
maiñ  sat.h-e-āb  pe  ik  tairtā  huā  lāsha
mujhe  koī  bhī  samundar  Dubone  vaalā  nahīñ
baḌe  jatan  se  milā  hai  ye  apnā  aap  mujhe
maiñ  ab  kisī  ke  liye  ḳhud  ko  khone  vaalā  nahīñ
fasīl-e-shahr  tirā  āḳhirī  muhāfiz  huuñ
ye  shahr  jaage  na  jaage  maiñ  sone  vaalā  nahīñ
vo  ek  tū  ki  tire  ġham  meñ  ik  jahāñ  ro.e
vo  ek  maiñ  ki  mirā  koī  rone  vaalā  nahīñ
kisī  ko  phuul  na  de  pā.ūñ  maiñ  agar  'shahbāz'
kisī  kī  ruuh  meñ  kāñTe  chubhone  vaalā  nahīñ