jidhar  dekhtā  huuñ  nazāra  tirā  hai
asar  bandagī  kā  hai  yā  mo.ajiza  hai
varaq  zindagī  ke  palaTte  haiñ  jab  jab
maiñ  hairat  se  dekhūñ  ki  kyā  kyā  likhā  hai
ye  maujeñ  ye  sāhil  ye  kashtī  ye  dariyā
na  jaane  kahāñ  nāḳhudā  lāpata  hai
vahī  moḌ  haiñ  aur  vahī  rahguzar  bhī
ġhazab  ye  hai  ki  har  musāfir  nayā  hai
lagāte  raho  laakh  chehre  pe  chehre
magar  yaad  ho  sāmne  aa.ina  hai
na  panghaT  na  rishte  na  sukh-dukh  kī  bāteñ
mirā  gaañv  ab  shahr  jo  ban  gayā  hai
bahakne  lagī  hai  zabāñ  ab  to  un  kī
yuuñ  daulat-o-shohrat  kā  chaḌhtā  nasha  hai