yahāñ  dekhūñ  vahāñ  dekhūñ  jahāñ  dekhūñ  maiñ  kyā  dekhūñ
kabhī  ḳhud  meñ  tujhe  dekhūñ  kabhī  tujh  meñ  ḳhudā  dekhūñ
ġharaz  ḳhud  se  nahīñ  koī  na  chāhat  hai  zamāne  kī
kahāñ  hastī  mirī  phir  jo  tujhe  ḳhud  se  judā  dekhūñ
mohabbat  kī  nazar  meñ  yaar  likkhī  ho  mohabbat  bas
kabhī  dekhūñ  maiñ  ḳhud  ko  to  kabhī  us  kī  vafā  dekhūñ
na.ī  manzil  na.ī  sūrat  nayā  manzar  mirī  fitrat
badaltā  huuñ  maiñ  roz-o-shab  Thikāna  bhī  nayā  dekhūñ
vo  ulfat  kī  nigāheñ  hoñ  vo  chehroñ  pe  tabassum  ho
muqaddas  se  darūñ  dil  pe  likhā  naame  vafā  dekhūñ
nafāsat  aah  bhartī  hai  zalālat  khilkhilātī  hai
ye  be-adabī  kī  duniyā  meñ  kabhī  ḳhud  ko  tanā  dekhūñ
ye  ik  duniyā  dikhe  bāhar  vo  ik  duniyā  mire  bhītar
batā  mujh  ko  mire  mālik  kahāñ  apnā  patā  dekhūñ