pī  kar  sharāb  bazm  meñ  phir  aa.iye  zarā
hai  mai-kashī  meñ  hosh  bhī  batlā.īye  zarā
yuuñ  paḌh  rakhe  haiñ  ham  ne  to  kitne  hī  faisle
dil  kī  ibāratoñ  ko  bhī  paḌhvā.īye  zarā
mujh  sā  nahīñ  milegā  tumheñ  yaar  phir  kahīñ
chāheñ  to  ghuum  kar  ye  jahāñ  aa.iye  zarā
achchhī  nahīñ  hai  be-ruḳhī  mujh  se  yuuñ  aap  kī
aa  kar  qarīb  se  hī  guzar  jā.iye  zarā
hotā  kabhī  habīb  jo  bantā  raqīb  hai
qismat  ke  rañg  dekhte  rah  jā.iye  zarā
bāhar  bahut  hī  gard  hai  dhoke  fareb  kī
yuuñ  pairahan  badal  ke  hī  ghar  aa.iye  zarā
beḌī  bane  haiñ  kuchh  to  yahāñ  rasm  aur  rivāj
yuuñ  'gīt'  ko  qafas  se  nikalvā.iye  zarā