Kishan Kumaar Waqaar

ho id ya moharram hum gham kiya karenge

Kishan Kumaar Waqaar

ho iid yā moharram ham ġham kiyā kareñge
do roza dahr-e-dūñ meñ mātam kiyā kareñge
mazmūn darhamī kā gesū ke bāñdheñge ham
har dam mizāj apnā barham kiyā kareñge
us harf-e-nā-shunū kī furqat meñ chupke baiThe
ham apne dil se bāteñ har dam kiyā kareñge
kānoñ tak us ke pahuñche mānind-e-zulf jab ham
sargoshiyāñ sarāsar bāham kiyā kareñge
vo zulf-o-ruḳh se apne kāfūr-o-mushk le kar
tayyār zaḳhm-e-dil kā marham kiyā kareñge
go talḳh vo kaheñge lab-hā-e-shakkarīñ se
har dam duā magar ham ham-dam kiyā kareñge
go ḳhuuñ kā qatra qatra dil se 'vaqār' kam ho
lekin suḳhan suḳhan se ham zam kiyā kareñge
Top Urdushayar.com