dekh  lāzim  hai  ġham  zindagī  ke  liye
so  guzāre  shab-e-ġham  ḳhushī  ke  liye
shahr-e-jānāñ  se  ab  kuuch  kar  jā.iye
vo  nahīñ  pārsā  bandagī  ke  liye
yuuñ  to  saare  hī  manzar  mile  haiñ  magar
DhūñDhtā  phir  rahā  dilkashī  ke  liye
pyaar  se  pyaar  kā  ye  safar  dekhiye
sochiye  kuchh  nayā  dil-lagī  ke  liye
aap  hī  aap  vo  muskurā.e  bahut
yaad  aa  hī  gayā  naġhmagī  ke  liye
chāhtā  hī  nahīñ  ab  vo  'ahsan'  tujhe
dekh  nainan  koī  mai-kashī  ke  liye