Kishan Kumaar Waqaar

chashm-e-KHunbar mein kyun laKHt-e-jigar jama karen

Kishan Kumaar Waqaar

chashm-e-ḳhūñbār meñ kyuuñ laḳht-e-jigar jama.a kareñ
ġhuncha-e-gul kī tarah kā hai ko zar jama.a kareñ
qatl ke ba.ad huā hukm ki lāsheñ uTh jaa.eñ
qaid-e-tafrīq se maqtūloñ ke sar jama.a kareñ
yaar ne ḳhatt-o-kabūtar ke kiye haiñ TukḌe
purze kāġhaz ke kareñ jama.a ki par jama.a kareñ
fikr meñ gesū-o-ruḳhsār ke dil kī ḳhātir
shaam hotī hai pareshāñ jo sahar jama.a kareñ
ham rahe dahr meñ jab tak tū rahe pā-ba-rikāb
par na ye ho sakā asbāb-e-safar jama.a kareñ
donoñ aalam se na kyuuñ band vo āñkheñ rakkheñ
tere nazzāre ke ḳhātir jo nazar jama.a kareñ
yak qalam pañj sad-o-chār hoñ dīvāñ meñ ġhazal
ham kalām apnā 'vaqār' aaj agar jama.a kareñ
Top Urdushayar.com