us  garmī-e-bāzār  se  baḌh  kar  nahīñ  kuchh  bhī
sach  jāniye  dukkān  ke  andar  nahīñ  kuchh  bhī
ham  johd-e-musalsal  se  jahāñ  TuuT  ke  gir  jaa.eñ
vo  lamha  haqīqat  hai  muqaddar  nahīñ  kuchh  bhī
majbūr  tajassus  ne  kiyā  hai  hameñ  varna
is  qaid  kī  dīvār  ke  bāhar  nahīñ  kuchh  bhī
ye  merī  tamannā  hai  ki  jumbish  meñ  haiñ  parde
ik  ḳhvāhish-e-paiham  hai  pas-e-dar  nahīñ  kuchh  bhī
afkār  kī  aqlīm  virāsat  hai  hamārī
aur  is  ke  sivā  ham  ko  mayassar  nahīñ  kuchh  bhī
darvesh  bhī  hote  hue  ham  aise  ġhanī  haiñ
dārā.ī-e-duniyā-e-sikandar  nahīñ  kuchh  bhī
jis  taḳht-e-ġhinā  par  mutamakkin  huuñ  maiñ  'partav'
us  daulat-e-behad  ke  barābar  nahīñ  kuchh  bhī