vo  na  pahchāne  ye  ḳhadsha  sā  lagtā  rahtā  hai
ruḳh  pe  us  ke  nayā  chehra  sā  lagā  rahtā  hai
apne  ghar  meñ  bhī  to  hai  chain  se  sonā  mushkil
chhat  na  gir  jaa.e  ye  khaTkā  sā  lagā  rahtā  hai
vo  zamīñ  ḳhaak  ugā.egī  adāvat  ke  sivā
pyaar  par  jis  jagah  pahra  sā  lagā  rahtā  hai
bhiiḌ  chhaTtī  nahīñ  is  kalba-e-ahzāñ  se  kabhī
ārzūeñ  haiñ  ki  mela  sā  lagā  rahtā  hai
saaf  kitnā  hī  kareñ  dāman-e-qātil  ko  halīf
lauh-e-tārīḳh  pe  dhabbā  sā  lagā  rahtā  hai
tere  aane  kī  ḳhushī  bhī  nahīñ  hotī  'partav'
tū  chalā  jā.egā  dhaḌkā  sā  lagā  rahtā  hai