ārzūoñ  ko  apnī  kam  na  karo
jiinā  chāho  to  koī  ġham  na  karo
haath  aa.e  ḳhushī  to  ḳhush  holo
dil  ho  ġhamgīñ  to  aañkh  nam  na  karo
jaisī  mil  jaa.e  jis  qadar  mil  jaa.e
pī  bhī  lo  fikr-e-besh-o-kam  na  karo
jaisī  guzre  guzārte  jaao
sāz-o-sāmāñ  koī  baham  na  karo
log  kahte  phireñ  tumheñ  kyā  kyā
aap  apne  pe  ye  sitam  na  karo
jī  meñ  jo  aa.e  vo  likho  sāhab
jo  zamāna  kahe  raqam  na  karo