ham  āgahī  ko  rote  haiñ  aur  āgahī  hameñ
vāraftagi-e-shauq  kahāñ  le  chalī  hameñ
letī  ga.ī  thī  ham  se  sabā  zauq-e-dilbarī
detī  ga.ī  thī  lazzat-e-be-rah-ravī  hameñ
un  ke  ġhurūr-o-ġhamza-o-nāz-o-adā  kī  ḳhair
raas  aa  chalī  thī  rasm-o-rah-e-āshiqī  hameñ
ham  zarra  zarra  DhūñD  chuke  mauja-e-sarāb
aur  qatra  qatra  DhūñD  chukī  tishnagī  hameñ
aa.ī  thī  chand  gaam  usī  bevafā  ke  saath
phir  umr  bhar  ko  bhuul  ga.ī  zindagī  hameñ