ek  muddat  se  dard  kam  kam  hai
jaane  kis  baat  kā  mujhe  ġham  hai
jaane  kyuuñ  dil  ko  be-qarārī  hai
jaane  kyuuñ  aaj  aañkh  pur-nam  hai
vus.at-e-tishnagī  hai  be-pāyāñ
aur  piine  ko  sirf  shabnam  hai
terī  āñkhoñ  ko  chuum  luuñ  lekin
kyā  karūñ  dil  kā  hausla  kam  hai
husn  kī  mumlikat  bahut  mahdūd
ishq  ke  saath  ek  aalam  hai
saath  huuñ  tere  ai  ġham-e-daurāñ
zulf-e-jānāñ  agarche  barham  hai