fitna-e-gardish-e-ayyām  se  jī  Dartā  hai
sāya-e-zulf-e-siyah-e-fām  se  jī  Dartā  hai
din  ke  siine  meñ  dhaḌakte  hue  lamhoñ  kī  qasam
shab  kī  raftār-e-subuk-gām  se  jī  Dartā  hai
vahī  tārīk  darīche  vahī  be-nūr  shafaq
partav-e-mehr-e-tahī-dām  se  jī  Dartā  hai
vahī  be-vaj.h  udāsī  vahī  be-nām  ḳhalish
rasm-e-rāh-e-dil-e-nākām  se  jī  Dartā  hai
vahī  sunsān  fazā.eñ  vahī  vīrāñ  sā  nagar
aa  ke  baiTho  to  dar-o-bām  se  jī  Dartā  hai