Makhmoor Saeedi

KHwar-o-ruswa na sar-e-kucha-o-bazar mile

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010
ḳhvār-o-rusvā na sar-e-kūcha-o-bāzār mile
hai yahī ishq kā e.azāz sar-e-dār mile
zindagī se ye rahā apnī mulāqāt kā haal
kisī bezār se jaise koī bezār mile
ham se pahle bhī ye afsāna bayāñ hotā thā
kitne ġham phir bhī hameñ tishna-e-iz.hār mile
zindagī ne koī ā.īna dikhāyā jab bhī
apne chehre pe hameñ maut ke āsār mile
fikr-e-ta.abīr meñ niiñd uḌ ga.ī dīvānoñ kī
ḳhvāb apne hī un āñkhoñ meñ jo bedār mile
muskurāte hue chehroñ pe na jaao 'maḳhmūr'
shāyad in meñ bhī koī tum sā dil-afgār mile
Top Urdushayar.com