likh  kar  varaq-e-dil  se  miTāne  nahīñ  hote
kuchh  lafz  haiñ  aise  jo  purāne  nahīñ  hote
jab  chāhe  koī  phūñk  de  ḳhvāboñ  ke  nasheman
āñkhoñ  ke  ujaḌne  ke  zamāne  nahīñ  hote
jo  zaḳhm  azīzoñ  ne  mohabbat  se  diye  hoñ
vo  zaḳhm  zamāne  ko  dikhāne  nahīñ  hote
ho  jaa.e  jahāñ  shaam  vahīñ  un  kā  baserā
āvāra  parindoñ  ke  Thikāne  nahīñ  hote
be-vaj.h  ta.alluq  koī  be-nām  rifāqat
jiine  ke  liye  kam  ye  bahāne  nahīñ  hote
kahne  ko  to  is  shahr  meñ  kuchh  bhī  nahīñ  badlā
mausam  magar  ab  utne  suhāne  nahīñ  hote
siine  meñ  kasak  ban  ke  base  rahte  haiñ  barsoñ
lamhe  jo  palaT  kar  kabhī  aane  nahīñ  hote
āshufta-sarī  meñ  hunar-e-harf-o-navā  kyā
lafzoñ  meñ  bayāñ  ġham  ke  fasāne  nahīñ  hote
'maḳhmūr'  ye  ab  kyā  hai  ki  bār-e-ġham-e-dil  se
bojhal  mire  ehsās  ke  shāne  nahīñ  hote