Makhmoor Saeedi

adhuri qurbaton ke KHwab aankhon ko dikha jaana

Makhmoor Saeedi

Tonk, Rajasthan, India

1938-2010

adhūrī qurbatoñ ke ḳhvāb āñkhoñ ko dikhā jaanā

hazāroñ dūriyoñ par ye tirā kuchh paas aa jaanā

udāsī ke dhuñdlakoñ dimāġh-o-dil pe chhā jaanā

nazar ke sāmne ik gum-shuda manzar aa jaanā

sunī hai maiñ ne akasr band darvāzoñ sargoshī

sadā.eñ chāhtī haiñ sab khulī saḌkoñ pe aa jaanā

tirī yādeñ ki is tūfān-e-zulmat meñ bhī raushan haiñ

huā mushkil havā ko in charāġhoñ bujhā jaanā

ḳhalā meñ Dūbtī āhaTeñ thiiñ kuchh jinheñ ham ne

safar meñ saath rakkhā manziloñ aasrā jaanā

maiñ tere saath huuñ to us ḳhushbū ke ta.āqub meñ

jahāñ tak sake ai sar-phirī mauj-e-havā jaanā

nazar us bhī ai 'maḳhmūr' dhokā khā ga.ī āḳhir

vahī thā āshnā chehra jise nā-āshnā jaanā

Top Urdushayar.com