maiñ  ne  tujhe  tujh  se  kabhī  haT  kar  nahīñ  dekhā
jo  kuchh  bhī  huā  us  ko  palaT  kar  nahīñ  dekhā
jab  se  ki  nigāhoñ  meñ  basī  hai  tirī  sūrat
qur.ān  ke  aurāq  ulaT  kar  nahīñ  dekhā
rātoñ  ko  añdhere  hī  nigahbān  the  tere
tujh  ko  tirī  nīñdoñ  ne  uchaT  kar  nahīñ  dekhā
me.aar  kā  qīmat  kā  kahāñ  us  ko  pata  ho
jis  maal  ne  ḳhairāt  meñ  baT  kar  nahīñ  dekhā
ik  chiiz  samundar  hai  magar  tū  ne  kabhī  bhī
maujoñ  kī  ravānī  se  lipaT  kar  nahīñ  dekhā
ik  qādrī  rutba  hai  'jamīl'  apne  liye  bhī
ḳhud  ko  kisī  andāz  se  ghaT  kar  nahīñ  dekhā