ā.īna  kī  be-riyā  tasrīh  le  kar  kyā  kareñ
aap  apne  daur  kī  talmīh  le  kar  kyā  kareñ
bāharī  duniyā  ko  dānoñ  meñ  phirānā  ḳhuub  hai
mimbar-o-mehrāb  meñ  tasbīh  le  kar  kyā  kareñ
kū-ba-kū  khulte  nahīñ  nikhrī  huī  ġhazloñ  ke  baaġh
imtizāj-e-fursat-e-tafrīh  le  kar  kyā  kareñ
is  munāfiq  daur  ne  jiinā  hameñ  sikhlā  diyā
ab  zamīr-e-ḳhufta  kī  tauzīh  le  kar  kyā  kareñ
ālam-e-hairat  meñ  goyā  haiñ  'jamīluddīn'  aap
aap  ke  ash.ār  kī  tashrīh  le  kar  kyā  kareñ