hasrat-e-pā.emāl  meñ  gum  haiñ
ham  fareb-e-ḳhayāl  meñ  gum  haiñ
bujhtī  yādoñ  ke  surma.ī  saa.e
shām-e-rañj-o-malāl  meñ  gum  haiñ
ham  hisār-e-vajūd  ke  rah-rau
gardish-e-lā-zavāl  meñ  gum  haiñ
sham.a  insāniyat  ke  nūr-faroġh
zulmat-e-infi.āl  meñ  gum  haiñ
vo  abad  tak  uruuj  kā  partav
ham  azal  se  zavāl  meñ  gum  haiñ
ab  bhañvar  meñ  phañsā  hai  māhī-gīr
machhliyāñ  jaal  jaal  meñ  gum  haiñ
lāla-o-gul  ye  mahr  o  maah  o  nujūm
sab  tire  ḳhadd-o-ḳhāl  meñ  gum  haiñ
shām-e-ġham  kī  hazār-hā  shāmeñ
mere  jām-e-sifāl  meñ  gum  haiñ
hijr  kī  be-panāh  rātoñ  meñ
log  shauq-e-visāl  meñ  gum  haiñ
kashtī-e-zīst  khe  rahe  haiñ  'atash'
bahr  kār-e-muhāl  meñ  gum  haiñ