soz-e-alam  se  duur  huā  jā  rahā  huuñ  maiñ
vo  to  jalā  rahe  haiñ  bujhā  jā  rahā  huuñ  maiñ
mānūs-e-iltifāt  huā  jā  rahā  huuñ  maiñ
dekh  ai  nigāh-e-nāz  miTā  jā  rahā  huuñ  maiñ
jalvoñ  kī  tābisheñ  haiñ  ki  allāh  kī  panāh
rañgīñ  tajalliyoñ  meñ  ghirā  jā  rahā  huuñ  maiñ
ye  aate  jaate  hai  nigah-e-ġhaiz  kis  liye
le  aaj  tere  dar  se  uThā  jā  rahā  huuñ  maiñ
rāhoñ  se  āshnā  huuñ  na  manzil-shanās  huuñ
le  jā  rahā  hai  shauq  chalā  jā  rahā  huuñ  maiñ
kaifiyyat  us  nigāh  kī  hamdam  batā.ūñ  kyā
ik  mauj  hai  ki  jis  meñ  bahā  jā  rahā  huuñ  maiñ
yā  ibtidā-e-ishq  meñ  ġham  mere  saath  thā
yā  ġham  ke  saath  saath  chalā  jā  rahā  huuñ  maiñ
kyā  chiiz  hai  naved-e-rihā.ī  ki  ham-nafas
jaise  qafas  samet  uḌā  jā  rahā  huuñ  maiñ
merī  tabāhiyoñ  pe  zamāne  ko  rashk  hai
tum  to  miTā  rahe  ho  banā  jā  rahā  huuñ  maiñ