zahe-koshish-e-kāmyāb-e-mohabbat
hamesha  rahe  ham  ḳharāb-e-mohabbat
sukūn-e-mohabbat  jo  mumkin  nahīñ  hai
baḌhā  dījiye  iztirāb-e-mohabbat
jhukī  jā  rahī  haiñ  vo  ma.asūm  nazreñ
diyā  jā  rahā  hai  javāb-e-mohabbat
bilā-vāsta  ham  se  āñkheñ  milāo
rahe  darmiyāñ  kyuuñ  hijāb-e-mohabbat
tirī  bazm  jannat  thī  lekin  karūñ  kyā
uThā  le  gayā  iztirāb-e-mohabbat
na  tarsā  na  tarsā  mohabbat  ke  saaqī
pilā  de  pilā  de  sharāb-e-mohabbat
hue  haiñ  vo  jis  din  se  nārāz  'sherī'
taraqqī  pe  hai  iztirāb-e-mohabbat