yakāyak  aks  dhuñdlāne  lage  haiñ
nazar  meñ  ā.īne  aane  lage  haiñ
zamīñ  hai  muntazir  fasl-e-ziyā  kī
falak  par  nuur  ke  daane  lage  haiñ
ḳhizāñ  aane  se  pahle  bāñch  lenā
daraḳhtoñ  par  jo  afsāne  lage  haiñ
hameñ  is  tarah  hī  honā  thā  ābād
hamāre  saath  vīrāne  lage  haiñ
fasīl-e-dil  girā  to  duuñ  maiñ  lekin
isī  dīvār  se  shāne  lage  haiñ
kabhī  fāqa-kashī  dikhlā.egī  rañg
isī  meñ  solahoñ  aane  lage  haiñ