hameñ  dekhā  na  kar  uḌtī  nazar  se
umīdoñ  ke  nikal  aate  haiñ  par  se
ab  un  kī  raakh  palkoñ  par  jamī  hai
ghaḌī  bhar  ḳhvāb  chamke  the  sharar  se
bachāne  meñ  lagī  hai  ḳhalq  mujh  ko
maiñ  zaa.e.a  ho  rahā  huuñ  is  hunar  se
vo  lahja-hā-e-dariyā-e-suḳhan  meñ
musalsal  bante  rahte  haiñ  bhañvar  se
samundar  hai  koī  āñkhoñ  meñ  shāyad
kināroñ  par  chamakte  haiñ  guhar  se
tavaqqo  hai  unheñ  us  abr  se  jo
dikhā.ī  de  idhar  us  or  barse
zarā  imkān  kyā  dekhā  namī  kā
nikal  aa.e  shajar  dīvār-o-dar  se
raqam  dil  par  huā  kyā  kyā  na  pūchho
bayāñ  honā  hai  ye  qissa  nazar  se
sambhalte  hī  nahīñ  ham  se  'bakul'  ab
bache  haiñ  din  yahāñ  jo  muḳhtasar  se