ġhazab  hai  justujū-e-dil  kā  ye  anjām  ho  jaa.e
ki  manzil  duur  ho  aur  rāste  meñ  shaam  ho  jaa.e
vahī  naala  vahī  naġhma  bas  ik  tafrīq-e-lafzī  hai
qafas  ko  muntashir  kar  do  nasheman  naam  ho  jaa.e
tasadduq  ismat-e-kaunain  us  majzūb-e-ulfat  par
jo  un  kā  ġham  chhupā.e  aur  ḳhud  bad-nām  ho  jaa.e
ye  aalam  ho  to  un  ko  be-hijābī  kī  zarūrat  kyā
naqāb  uThne  na  paa.e  aur  jalva  aam  ho  jaa.e
ye  merā  faisla  hai  aap  mere  ho  nahīñ  sakte
maiñ  jab  jānūñ  ki  ye  jazba  mirā  nākām  ho  jaa.e
abhī  to  dil  meñ  halkī  sī  ḳhalish  mahsūs  hotī  hai
bahut  mumkin  hai  kal  is  kā  mohabbat  naam  ho  jaa.e
jo  merā  dil  na  ho  'sherī'  harīf  un  kī  nigāhoñ  kā
to  duniyā  bhar  meñ  barpā  inqalāb-e-ām  ho  jaa.e