hameñ  raas  aanī  hai  rāhoñ  kī  gaThrī
rakho  paas  apnī  panāhoñ  kī  gaThrī
badal  jaa.e  kaash  is  hasīñ  marhale  par
hamārī  tumhārī  gunāhoñ  kī  gaThrī
mohabbat  kī  rāheñ  thiiñ  hamvār  lekin
hamīñ  Dho  na  paa.e  nibāhoñ  kī  gaThrī
takalluf  ke  sāmān  bikhre  the  bāham
so  bāñdhe  rahe  ham  bhī  bāñhoñ  kī  gaThrī
ujāle  ke  haiñ  in  dinoñ  daam  ūñche
chalo  luuT  leñ  rū-siyāhoñ  kī  gaThrī
dharī  rah  ga.ī  munsif-e-dil  ke  aage
bayānoñ  kī  gaThrī  gavāhoñ  kī  gaThrī
na  uglī  hī  jaa.e  na  nigale  bane  hai
gale  meñ  phañsī  ek  aahoñ  kī  gaThrī
ye  sūkhī  huī  fasl-e-ġham  jī  uThegī
agar  khul  ga.ī  in  nigāhoñ  kī  gaThrī
uTheñgī  kisī  roz  sailāb  ban  kar
ye  ābādiyāñ  haiñ  tabāhoñ  kī  gaThrī
mirī  sīdhī  saadī  sī  bātoñ  pe  mat  jā
mirī  zaat  hai  kaj-kulāhoñ  kī  gaThrī