Nuzhat Abbasi

mauj-e-dariya ke labon par tishnagi hai karbala

Nuzhat Abbasi

Karachi, Sindh, Pakistan

mauj-e-dariyā ke laboñ par tishnagī hai karbalā
reg-e-sāhil par taḌaptī zindagī hai karbalā
sabr kī aur zabt kī ye manzileñ haiñ āḳhirī
azm ahl-e-bait kā kyā dekhtī hai karbalā
haq kabhī jhuktā nahīñ hai sar bhī kaT jaa.e agar
zehn-o-dil ke vāste ik āgahī hai karbalā
kyuuñ sakīna aur zainab is qadar ḳhāmosh haiñ
duur tak sahrā meñ dekho ḳhāmushī hai karbalā
miT gayā hai farq sab fardā meñ aur dīroz meñ
maat de kar raḳhsh-e-daurāñ ko chalī hai karbalā
tā-qayāmat zikr se raushan rahegī ye zamīñ
zulmatoñ kī shaam meñ ik raushnī hai karbalā
ai ġham-e-shām-e-ġharībāñ ai shab-e-tār-e-alam
ahl-e-dil ko roz-o-shab taḌpā rahī hai karbalā
Top Urdushayar.com