sab  tarah  ke  hālāt  ko  imkān  meñ  rakkhā
har  lamha  use  soch  meñ  vijdān  meñ  rakkhā
hijrat  kī  ghaḌī  ham  ne  tire  ḳhat  ke  alāva
bosīda  kitāboñ  ko  bhī  sāmān  meñ  rakkhā
mujh  ko  mirī  qāmat  ke  mutābiq  bhī  jagah  dī
ye  phuul  uThā  kar  kabhī  gul-dān  meñ  rakkhā?
ik  umr  guzārī  na.e  āhañg  se  lekin
ajdād  kī  aqdār  ko  bhī  dhyān  meñ  rakkhā
ik  roz  siyah  raat  hathelī  pe  sajā  kar
sahrā  ne  qadam  ḳhitta-e-gunjān  meñ  rakkhā
hoñToñ  ko  sadā  rakkhā  tabassum  se  ibārat
ik  zahr-bujhā  tiir  bhī  muskān  meñ  rakkhā