juz  qurbat-e-jāñ  parda-e-jāñ  koī  nahīñ  thā
vo  thā  to  vahāñ  aur  jahāñ  koī  nahīñ  thā
thā  ek  ḳhayāl  aur  ḳhayāl-e-ruḳh-e-jānāñ
vo  vāhima-e-vahm-o-gumāñ  koī  nahīñ  thā
ik  sā.at-e-sad-sāl  meñ  Thahrā  thā  kahīñ  dil
phir  qāfila-e-umr-e-ravāñ  koī  nahīñ  thā
thā  koī  vahāñ  jo  hai  yahāñ  bhī  hai  vahāñ  bhī
jo  huuñ  maiñ  yahāñ  huuñ  maiñ  vahāñ  koī  nahīñ  thā
sad-shukr  zamāne  ko  na  thā  gosh-e-samā.at
ham  ko  bhī  magar  rabt-e-zabāñ  koī  nahīñ  thā