bhuuk  se  bachche  bilakte  haiñ  na  jaane  kitne
aur  paanī  meñ  bahā  dete  haiñ  daane  kitne
ik  tamannā  kā  huā  ḳhuun  to  kyā  ġham  ai  dost
dafn  haiñ  siine  meñ  armān  na  jaane  kitne
kabhī  auroñ  kī  kabhī  apnī  himāqat  ke  tufail
haath  aate  rahe  hañsne  ke  bahāne  kitne
zindagī  ek  haqīqat  bhī  hai  afsāna  bhī
har  galī-kūche  meñ  bikhre  haiñ  fasāne  kitne
ik  gul-e-tāza  kī  taḳhlīq  meñ  ai  gulchīno
jaane  qudrat  ne  luTā.e  haiñ  ḳhazāne  kitne
merī  rūdād  ko  sab  apnā  fasāna  samjhe
ik  fasāne  meñ  haiñ  poshīda  fasāne  kitne
hausla  baḳhshā  hai  jiine  kā  unhī  ḳhvāboñ  ne
ham  ne  dekhe  haiñ  'ḳhalish'  ḳhvāb  suhāne  kitne