subuk  huuñ  apnī  nigāhoñ  meñ  arz-e-hāl  ke  ba.ad
ki  aabrū  nahīñ  rahtī  kabhī  savāl  ke  ba.ad
na  pūchho  dil  ko  huī  haiñ  aziyyateñ  kyā  kyā
kabhī  savāl  se  pahle  kabhī  savāl  ke  ba.ad
zamīr  kī  vo  musalsal  malāmateñ  tauba
milā  hai  dil  ko  sakūñ  ashk-e-infi.āl  ke  ba.ad
qarār  dil  ko  nahīñ  thā  qarār  dil  ko  nahīñ
tire  visāl  se  pahle  tire  visāl  ke  ba.ad
tire  itaab  sahe  sabr  se  to  lutf  huā
tirā  jamāl  bhī  dekhā  tire  jalāl  ke  ba.ad
zan-o-gumāñ  se  guzar  kar  tirā  ḳhayāl  aayā
koī  ḳhayāl  na  aayā  tire  ḳhayāl  ke  ba.ad
maiñ  dil  to  haar  chukā  jān-o-māl  hāzir  haiñ
'ḳhalish'  ke  paas  hai  kyā  aur  jān-o-māl  ke  ba.ad