hai  dhūp-chhāñv  kī  mānind  zindagī  merī
sabāt-e-ġham  ko  nahīñ  aarzī  ḳhushī  merī
usī  ko  ab  mirī  har  baat  zahr  lagtī  hai
kabhī  pasand  na  thī  jis  ko  ḳhāmushī  merī
tirī  nazar  kā  sahārā  baḌā  sahārā  thā
jahāñ  meñ  kar  na  sakā  koī  hamsarī  merī
kabhī  gunāh  kabhī  hasrat-e-gunāh  kā  ġham
tamām  karb-e-musalsal  hai  zindagī  merī
maiñ  dil  kā  haal  usī  ko  sunātā  rahtā  huuñ
chhupī  na  jis  se  koī  baat  an-kahī  merī
maiñ  misl-e-kirmak  shab-tāb  jaltā  rahtā  huuñ
kisī  ke  kaam  to  aa.egī  raushnī  merī
jo  mere  ḳhadsha-e-fardā  pe  ḳhanda-zan  haiñ  'ḳhalish'
mirī  duā  hai  mile  un  ko  aa  ga.ī  merī