shikva  na  ho  tasalsul-e-āh-o-fuġhāñ  rahe
vo  chāhte  haiñ  aag  na  bhaḌke  dhuāñ  rahe
lail-o-nahār  pahle  jo  the  ab  kahāñ  rahe
haañ  yaad  hai  ki  tum  bhī  kabhī  mehrbāñ  rahe
qurbat  meñ  aa  paḌe  the  qayāmat  ke  fāsle
tanhā  the  ham  to  qaul-o-qasam  darmiyāñ  rahe
har  gaam  par  haiñ  dār-o-rasan  kī  sahūlateñ
ab  jism-o-jāñ  luTāo  ki  nām-o-nishāñ  rahe
yuuñ  muskurā  ke  tark-e-ta.alluq  kī  guftugū
aisā  sitam  ki  jis  pe  karam  kā  gumāñ  rahe
rāhoñ  ke  pech-o-ḳham  meñ  musāfir  bikhar  ga.e
ab  kārvāñ  qayām  kare  yā  ravāñ  rahe
ḳhushbū-e-pairahan  meñ  basā  hai  ruvāñ  ruvāñ
vo  ham  se  laakh  duur  rahe  juzv-e-jāñ  rahe