kahāñ  se  aanā  hai  har  aadmī  yahāñ  tanhā
rulā  ke  ham  ko  chalā  jaanā  hai  kahāñ  tanhā
yazīd-e-asr  ne  gherā  hai  yuuñ  mujhe  jaise
muqāble  meñ  ho  ik  tere  be-kamāñ  tanhā
lage  haiñ  ḳheme  vahīñ  aaj  kārvānoñ  ke
gayā  thā  shahr  meñ  thak  kar  jahāñ  jahāñ  tanhā
ye  kaun  rahtā  hai  saa.e  kī  tarah  saath  mire
rah-e-talab  meñ  to  maiñ  huuñ  ravāñ-davāñ  tanhā
jo  dekhiye  mire  hamdam  haiñ  mere  saath  magar
uThā  rahā  huuñ  maiñ  bār-e-ġham-e-jahāñ  tanhā
suno  jo  kahte  haiñ  sargoshiyoñ  meñ  shahr  ke  log
amīr-e-shahr  se  kab  maiñ  huuñ  bad-gumāñ  tanhā
bujhāo  jald  tumhārī  bhī  varna  ḳhair  nahīñ
kabhī  jalā  hai  chaman  meñ  ik  āshiyāñ  tanhā
ḳhalish  kisī  kā  sahārā  bane  koī  kyuuñ  kar
yahāñ  har  ek  kā  honā  hai  imtihāñ  tanhā