kuchh  taġhayyur  mire  ahvāl-e-pareshāñ  meñ  nahīñ
aise  aalam  meñ  huuñ  jo  ālam-e-imkāñ  meñ  nahīñ
sub.h-e-mahshar  bhī  dikhā.ī  nahīñ  detī  yārab
roz-e-bad  bhī  to  nasīb-e-shab-e-hijrāñ  meñ  nahīñ
vahshat-e-ishq  ko  sābit-qadamī  bhī  hai  zarūr
qais  kā  naqsh-e-qadam  tak  to  bayābāñ  meñ  nahīñ
ho  gayā  zauq  fazā-e-ḳhalish-e-yād-e-mizha
kaun  kahtā  hai  ki  lazzat  tire  paikāñ  meñ  nahīñ
dasht-e-vahshat  meñ  uḌe  phirte  haiñ  ārām  se  ham
jo  sifat  zo.af  meñ  hai  taḳht-e-sulaimāñ  meñ  nahīñ