mujh  nā-tavāñ  pe  hashr  meñ  vahm-e-fuġhāñ  ġhalat
maiñ  guftugū  kī  taab  rakhūñ  ye  gumāñ  ġhalat
tum  bhī  vahī  kaho  to  kaheñ  sab  bajā  durust
maiñ  bhī  vahī  kahūñ  to  kahe  ik  jahāñ  ġhalat
garmī  se  us  ke  husn  kī  kis  kā  jigar  jalā
tashbīh-e-mehr-o-rū-e-nikū-e-butāñ  ġhalat
kahiye  asīr-e-ḳhvāhish-e-sumbul  koī  huā
denī  misāl-e-kākul-e-ambar-fishāñ  ġhalat
sach  hai  ki  aadmī  ko  ġharaz  aadmī  se  hai
vaa.iz  bayān-e-dilkash-e-hūr-e-jināñ  ġhalat
kah  kar  tamām  'sālik'-e-ġham-gīñ  kā  mājrā
maiñ  ne  kahā  ġhalat  hai  to  bole  ki  haañ  ġhalat