Wasi Shah

mere is dida-e-KHun-nab ke pichhe pichhe

Wasi Shah

1976
mere is dīda-e-ḳhūñ-nāb ke pīchhe pīchhe
ek be-ḳhvābī hai is ḳhvāb ke pīchhe pīchhe
umr bhar chain nahīñ paate haiñ vo log ki jo
bhāgte rahte haiñ asbāb ke pīchhe pīchhe
dil bhī ashkoñ ke ta.āqub meñ bahā jaatā hai
ek sahrā sā hai sailāb ke pīchhe pīchhe
kuchh to tā-umr rahe kasb-e-hunar meñ masrūf
aur kuchh tamġha-o-alqāb ke pīchhe pīchhe
jis kī takmīl pe āñkheñ bhī ga.iiñ dil bhī gayā
umr guzrī thī usī ḳhvāb ke pīchhe pīchhe
un pe zindāñ kī fasīloñ ko bhī pyaar aatā hai
jo chale aate haiñ ahbāb ke pīchhe pīchhe
ham to is darja tire naam ke dīvāne haiñ
jaise dauḌe koī surḳhāb ke pīchhe pīchhe
Top Urdushayar.com