Naseem Dehlvi

hai kahe dete hain zahmat-KHurda hai

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866

hai kahe dete haiñ zahmat-ḳhurda hai

dil to hāzir hai magar pazhmurda hai

aatā hai na aatī hai qazā

dekhte haiñ jis ko vo āzurda hai

jis tarah chāhe rakheñ merā dil

jānte haiñ vo ki maal murda hai

manzil-e-ulfat meñ rakkheñ to qadam

rustam-o-suhrāb kyā gurda hai

kaun suntā hai tumhārī ai 'nasīm'

kis ko pās-e-ḳhātir-e-afsurda hai

Top Urdushayar.com