Naseem Dehlvi

wasl ki raat hai aaKHir kabhi uryan honge

Naseem Dehlvi

Delhi, India

1799-1866
vasl kī raat hai āḳhir kabhī uryāñ hoñge
maiñ pashemāñ huuñ to kyā vo na pashemāñ hoñge
aap mar jā.ūñgā tū aa ki na aa o zālim
aaj vo din hai ki mujh par mire ehsāñ hoñge
ġhair kī shakl baneñge kabhī ḳhud un kā shauq
ham bhī dekheñ to kahāñ tak na vo pursāñ hoñge
dil jo rūThā to manāne se kahīñ mantā hai
ye sitam bā.is-e-hasrat tujhe ai jaañ hoñge
aaj bahrūp adū kā hai banāyā maiñ ne
ab to vo bhī mire andāz pe qurbāñ hoñge
un ko pahneñge mire dasht-e-junūñ ke kāñTe
ye vo dāman haiñ ki āḳhir ko garebāñ hoñge
barhamī dūrī-e-jānāñ meñ unheñ hogī 'nasīm'
mere naale asar-e-fikr-e-ġhazal-ḳhvāñ hoñge
Top Urdushayar.com