Farhan Hanif Warsi

umumi soch se baDh kar bhi kuchh fankar rakhta hai

Farhan Hanif Warsi

Mumbai, Maharashtra, India

1966

umūmī soch se baḌh kar bhī kuchh fankār rakhtā hai

vasīla koī bhī ho quvvat-e-iz.hār rakhtā hai

mirā ye dil ba-zāhir maslahat-andesh hai lekin

anā haavī agar ho jur.at-e-inkār rakhtā hai

re.āyā ḳhud ko kitnī be-amāñ mahsūs kartī hai

adāvat shaah se jab bhī sipah-sālār rakhtā hai

ta.ajjub hai vafā ke baab meñ bhī had muqarrar hai

vo sab samtoñ meñ jaise kāñch dīvār rakhtā hai

hamārī chāhateñ sach haiñ magar hālāt dariyā

mujhe is paar rakhtā hai tujhe us paar rakhtā hai

nahīñ apnī ḳhabar 'farhān' ko lekin ba-sad hairat

vo apne saath har dam sub.h aḳhbār rakhtā hai

Top Urdushayar.com