jo  pardoñ  meñ  ḳhud  ko  chhupā.e  hue  haiñ
qayāmat  vahī  to  uThā.e  hue  haiñ
tirī  anjuman  meñ  jo  aa.e  hue  haiñ
ġham-e-do-jahāñ  ko  bhulā.e  hue  haiñ
koī  shaam  ke  vaqt  aa.egā  lekin
sahar  se  ham  āñkheñ  bichhā.e  hue  haiñ
jahāñ  bijliyāñ  ḳhud  amaañ  DhūñDhtī  haiñ
vahāñ  ham  nasheman  banā.e  hue  haiñ
ġhazal  aabrū  hai  to  urdu  zabāñ  kī
tirī  aabrū  ham  bachā.e  hue  haiñ
ye  ash.ār  yuuñ  hī  nahīñ  dard-āgīñ
'hafīz'  aap  bhī  choT  khaa.e  hue  haiñ