jab  tasavvur  meñ  koī  māh-jabīñ  hotā  hai
raat  hotī  hai  magar  din  kā  yaqīñ  hotā  hai
uf  vo  bedād  ināyat  bhī  tasadduq  jis  par
haa.e  vo  ġham  jo  masarrat  se  hasīñ  hotā  hai
hijr  kī  raat  fusūñ-kāri-e-zulmat  mat  pūchh
sham.a  jaltī  hai  magar  nuur  nahīñ  hotā  hai
duur  tak  ham  ne  jo  dekhā  to  ye  mālūm  huā
ki  vo  insāñ  kī  rag-e-jāñ  se  qarīñ  hotā  hai
ishq  meñ  mārka-e-qalb-o-nazar  kyā  kahiye
choT  lagtī  hai  kahīñ  dard  kahīñ  hotā  hai
ham  ne  dekhe  haiñ  vo  aalam  bhī  mohabbat  meñ  'hafīz'
āstāñ  ḳhud  jahāñ  mushtāq-e-jabīñ  hotā  hai