raat  kā  naam  saverā  hī  sahī
aap  kahte  haiñ  to  aisā  hī  sahī
kyā  burā.ī  hai  agar  dekh  leñ  ham
zindagī  ek  tamāshā  hī  sahī
kuchh  to  kāñdhoñ  pe  liye  haiñ  ham  log
apne  armānoñ  kā  lāsha  hī  sahī
pīchhe  haTnā  hameñ  manzūr  nahīñ
sāmne  aag  kā  dariyā  hī  sahī
kyā  zarūrī  hai  ki  maiñ  naam  bhī  luuñ
merā  dushman  koī  apnā  hī  sahī
aa.ina  dekh  ke  Dar  jaatā  huuñ
aa.ina  merā  shanāsā  hī  sahī
merā  qad  aap  se  ūñchā  hai  bahut
maiñ  'hafīz'  aap  kā  saayā  hī  sahī